Friday, 12 October 2012

Ranjish hee sahee dil hee dukhaane ke liye aa by AHMED FARAZ



AHMED FARAZ



Ranjish hee sahee dil hee dukhaane ke liye aa

aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahee phir bhee kabhee to

rasm-o-rahe duniyaa hee nibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judayi kaa sabab ham

tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa

Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh

tuu bhee to kabhee mujh ko manaane ke liye aa

Ek umra se huun lazzat-e-giriyaa se bhee maharuum

ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khush_faham ko hain tujh se ummiidein

ye aaKhirii sham-me bhee bujhaane ke liye aa

Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat

chupake se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane

aise hee kisii roz na jaane ke liye aa

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to

rasm-o-reh duniya ki nibhane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaaii ka sabab hum

tu mujh se kafa hai to zamane ke liye aa

kuch to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh

tu bhi kabhi mujh ko manane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mehroom

aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummiiden

ye aakhri shamme bhi bhujaane ke liye aa

maana ki muhabbat ka chupaana hai muhabbat

chupke se kisi roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane

aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

BY AHMED FARAZ

No comments:

Post a Comment